ek yaad ki maujudgi sah bhi nahin sakte ye baat kisi aur se kah bhi nahin sakte tu apne gahan mein hai to main apne gahan mein do chand hain ek abr mein gah bhi nahin sakte ham-jism hain aur donon ki buniyaaden amar hain ab kaise bichhad jaen ki dhah bhi nahin sakte dariya hun kisi roz muawin ki tarah mil ye kya ki hum ek lahr mein bah bhi nahin sakte khwab aaen kahan se agar aankhen hon purani aur subh tak is khauf mein rah bhi nahin sakte