ek yaad so rahe ko uThati hai aaj bhi

ek yaad so rahe ko uthati hai aaj bhi
khud jagti hai mujh ko jagati hai aaj bhi

ye kaisi mutriba hai jo chhup kar jahan se
dhime suron mein raat ko gati hai aaj bhi

sadiyan guzar gain jise dube hue yahan
us ko sada-e-shauq bulati hai aaj bhi

jis shahr-e-arzu ke nishanat mit gae
dil ki nigah phir wahin jati hai aaj bhi

honton pe bar bar zaban pherta tha jo
us qafile ki pyas rulati hai aaj bhi

parbat ki chotiyon pe wo roti hui ghata
kis hadse pe nir bahati hai aaj bhi

bas ek hi bala hai mohabbat kahen jise
wo paniyon mein aag lagati hai aaj bhi

har roz aa ke khwab mein pazeb ki sada
dhadkan hamare dil ki badhati hai aaj bhi

'hasrat' koi to kho gaya umr-e-aziz ka
jo nange panw daudti jati hai aaj bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close