ek zabt ki jo had se guzarne nahin deta

ek zabt ki jo had se guzarne nahin deta
marna koi chahe bhi to marne nahin deta

kitne hain mujhe kaam jo karne nahin deta
ye waqt to ek zakhm bhi bharne nahin deta

ye jazb-e-talab ki hai jo ab rah-e-talab mein
manzil pe pahunch kar bhi thaharne nahin deta

ye haal ka ehsan hai jo mazi ka koi naqsh
ab aaina-e-dil pe ubharne nahin deta

ek gham hai kisi ka jo kisi haal mein 'tariq'
shiraaza-e-hasti ko bikharne nahin deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close