ek zahrili rifaqat ke siwa hai aur kya tere mere bich wahshat ke siwa hai aur kya ab na hai wo narm lahja aur na hain wo qahqahe tera milna ek aziyyat ke siwa hai aur kya zom tha mujh ko bhi teri chahaton ka lekin ab mere chehre par nidamat ke siwa hai aur kya ek zahr-amez chup hai aur aankhon mein jalan tere dil mein ab kudurat ke siwa hai aur kya zakhm jo tu ne diye tujh ko dikha to dun magar pas tere bhi nasihat ke siwa hai aur kya