ewaz kab wafa ka wafa mangte hain salamat raho ye dua mangte hain sada-e-faqir aur kya hongi zalim khuda se tera hum bhala mangte hain ye chhup-chhup ke sham-o-sahar rone wale ye kya chahte hain ye kya mangte hain mita de hamein ai mohabbat mita de hum apne kiye ki saza mangte hain karam kar na ja hum faqiron ki khu par faqiron ka kya hai sada mangte hain yunhi ban gaya 'soz' dushman zamana ki hum kab kisi ka bura mangte hain