faisla us par ya is par hona chahiye kyon junun-e-ishq ko manjdhaar hona chahiye phul sare hi chaman ke dad ke hain mustahiq ishq aakhir kyon faqat ek bar hona chahiye ishq ka izhaar itna aur amal kuchh bhi nahin aap ka to nam hi sarkar hona chahiye main nahin to kya hazaron aur tare hain yahan kyon kisi bhi raat ko bezar hona chahiye umr bhar aankhon ne tere hijr mein roza rakha zindagi ki sham hai iftar hona chahiye tujh ko manga jab dua mein hans ke ye bole khuda zindagi mein kuchh na kuchh dushwar hona chahiye 'ashna' kuchh kaam karte ho to ho kis kaam ke tum to shair ho tumhein be-kar hona chahiye