faiz pahunche hain jo bahaaron se puchhte kya ho dil-nigaron se aashiyan to jala magar hum ko khelna aa gaya shararon se kya hua ye ki khun mein dubi hui lapten aati hain lala-zaron se un mein hote hain qafile pinhan dil-shikasta na ho ghubaron se hai yahan koi hausle wala kuchh payam aae hain sitaron se hum se mehr-o-wafa ki baat karo hosh ki baat hoshyaron se ku-e-jaanan ho dair ho ki haram kab mafar hai yahan sahaaron se