falak mein uDun panw mein zamin bhi rahe

falak mein udun panw mein zamin bhi rahe
zaban se han bhi kahun zehn se nahin bhi rahe

tere siwa bhi kisi aur ki zamin thi kya
chaman mein dasht mein sahra mein ya kahin bhi rahe

meri hi khak sar-e-tur ham-kalam bhi ho
meri hi khak mein aazar panah-guzin bhi rahe

wo jis ke dar pe hai ye kaenat sajda-rez
usi ke dar pe khamida meri jabin bhi rahe

nahin ye baat to mumkin nahin ki surat mein
ki la-makan bhi rahe dil mein aur makin bhi rahe

wo jis ki lahr pe lahrae aalam-e-imkan
usi ko haq hai wahi zer-e-astin bhi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close