falak pe sham dhale jo chamakne lagte hain wo teri aankhon mein aa kar damakne lagte hain sukut-e-shab main tera nam jab bhi leta hun sahife ishq ke dil par utarne lagte hain ghamon ki kali ghataon ko chir kar jaanan teri tajalli ke suraj dahakne lagte hain chaman chaman mein khile phul le ke nam tera tasawwuraat ke gulshan mahakne lagte hain teri sadaon ke ghunghru faza mein yun chhanke ki jaise bagh mein bulbul chahakne lagte hain tu be-irada bhi jab zulf apni jhatkae sulagte dasht pe baadal barasne lagte hain tu jaan tod ke leti hai jab bhi angdai khutut-e-jism khala mein ubharne lagte lagte hain tere junun ka bhi 'ejaz' kya mudawa ho ki chhil lete ho jab zakhm bharne lagte hain