falak se chal ke yahan mahtab aaega hamare pas koi be-naqab aaega khuda ke ghar ko mitaya hai intizar karo tumhaare sar pe yaqinan azab aaega tumhaare zulm-o-sitam ki saza milegi tumhein azab aaega aur be-hisab aaega hamare fikr-o-amal par jumud tari hai ba-tarz-e-shor-e-qayamat shabab aaega