fana kahte hain kis ko maut se pahle hi mar jaana baqa hai nam kis ka apni hasti se guzar jaana jo roka rah mein hur ne to shah abbas se bole mere bhai na ghusse mein kahin had se guzar jaana kaha ahl-e-haram ne roke yun akbar ke lashe par jawan hone ka shayad tum ne rakkha nam mar jaana baqa mein tha fana ka martaba hasil shahidon ko wahan is par amal tha maut se pahle hi mar jaana na lete kaam gar sibt-e-nabi sabr-o-tahammul se lainon ka nigah-e-khashm se aasan tha mar jaana dikhai jang mein surat udhar ja pahunche wo kausar ye asghar hi ki thi raftar idhar aana udhar jaana yahan ka zinda rahna maut se bad-tar samajhta hun hayat-e-jawidan hai karbala mein ja ke mar jaana