faqir mauji KHarab haalon ka kya banega

faqir mauji kharab haalon ka kya banega
ye ishq karti udas naslon ka kya banega

hamare purkhon ne hum se behtar guzar li hai
main sochta hun hamare bachchon ka kya banega

hamare jismon ka khak hona to thik hai par
tumhaari aankhon tumhaare honton ka kya banega

hamein to rone mein koi diqqat nahin hai lekin
wo puchhna tha ki rone walon ka kya banega

mazaq udate hain log farzi kahaniyon ka
ki sidhe-sade se un buzurgon ka kya banega

talash karti hain is badan ki bashaaraton ko
haqir sochon haris banhon ka kya banega

wo husn aise hi kharch hota raha to sahir
hamari nazmon hamari ghazlon ka kya banega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close