faraaz-e-dar ko zauq-e-junun talash kare ye dil ki teri nazar ka fusun talash kare sukun ke liye pahle nazar nazar se mile nazar mila ke ye dil phir sukun talash kare kisi ne zohd kiya aur to koi mast hua jise tu yun nahin milta wo yun talash kare lo aaj ramz-e-nihan ko ayan karun ki bashar barun pe sabt hai takhti darun talash kare tamam shahar shajar bhediyon ke jaisa hai har ek pyas bujhane ko khun talash kare