farogh-e-mehr se rindon ka aakhir kaam kya hoga zamin par daur chalta hai falak par jam kya hoga ye main jaanun ki main ne kyun kiya aaghaz ulfat ka ye wo jaanen ki is aaghaz ka anjam kya hoga tera tark-e-sitam tamhid hai tark-e-talluq ki mujhe is dil-shikan-aram se aaram kya hoga pareshan main nahin lekin jafa par tum pasheman ho wafa par meri is se badh ke aur ilzam kya hoga sharabi hai wahi rag rag mein jis ki qudrati mai ho na ho kaif-afrin jo dil wo mai-asham kya hoga khushi hogi dawami gham-zadon ko jab kabhi hogi jise har-waqt ho aaram use aaram kya hoga guman tha nek mujh par nek logon ka so ab tak hai magar ab main kahan 'natiq' mujhe ilham kya hoga