farogh-e-sham ka manzar us aaftab mein tha kiran kiran wo ujala tha par hijab mein tha tere badan ki tamazat thi jis se aag lagi chaman mein barq na shoala koi gulab mein tha mere qarib raha phir bhi mujh ko padh na saka mera wajud to mahfuz ek kitab mein tha zamane-bhar ki nazar se jo bach gaya yaro wo shakhs meri nigahon ke intikhab mein tha khula jo nama-e-amal hashr mein mera bas ek jurm-e-mohabbat mere hisab mein tha main aashna-e-mohabbat to be-qarar hi tha wo aashna-e-mohabbat na tha azab mein tha main dekhta hi raha pattharon ki barish mein mere habib ka chehra bhi ek naqab mein tha