farq nahin paDta hum diwanon ke ghar mein hone se

farq nahin padta hum diwanon ke ghar mein hone se
virani umdi padti hai ghar ke kone kone se

apni is kam-zarfi ka ehsas kahan le jaun main
sun rakkha tha uljhan kuchh kam ho jati hai rone se

baad-az-waqt pashiman ho kar zakhm nahin bhar sakte tum
daman ke dhabbe albatta mit sakte hain dhone se

kante bone wale sach-much tu bhi kitna bhola hai
jaise rahi ruk jaenge tere kante bone se

mere tikhe sher ki qimat dukhti rag par kari chot
chikni chupdi ghazlen be-shak aap khariden sone se

aankhon mein ye raat kate to thik 'muzaffar' hanafi ji
rahzan jhunjhlaya baitha hai ek manzil sar hone se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close