farsh-e-zamin pe barg-e-khizani ka rang hai diwar-o-dar pe naql-e-makani ka rang hai aankhon mein tairte hain safine widaa ke lahje mein aab-ju ki rawani ka rang hai ifraat-e-chashm-o-lab ki kahin sidhiyon mein thi lekin chhaton pe qaht-o-girani ka rang hai galon pe ek lakir si sailab-e-ashk se diwar par kahin kahin pani ka rang hai surkhi ke sath aam sa be-sharh waqia taswir mein ajib maani ka rang hai qasid ke donon hath khule lab khamosh hain kuchh aankh mein payam-e-zabani ka rang hai logon ne shauq-e-sabz mein pakne na di ye fasl har-chand surkh ahd-e-jawani ka rang hai