fart-e-jazbaat mein jazbaat ko mahdud rakho

fart-e-jazbaat mein jazbaat ko mahdud rakho
yani is ishq ki bahutat ko mahdud rakho

hukm-e-hakim hai ki is des mein jina hai agar
chup raho aur sawalat ko mahdud rakho

aao sikhlaun tumhein jine ka main dhang naya
baat badhti ho agar baat ko mahdud rakho

kya sabab hai jo kudurat hai zamane-bhar mein
hukm ko samjho khitabaat ko mahdud rakho

aa hi nikle ho agar dasht-e-mohabbat to ye sar
kham rakho aur mafadat ko mahdud rakho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close