farz-e-supurdagi mein taqaze nahin hue tere kahan se hon ki hum apne nahin hue kuchh qarz apni zat ke ho bhi gae wasul jaise tere supurd the waise nahin hue achchha hua ki hum ko maraz la-dawa mila achchha nahin hua ki hum achchhe nahin hue us ke badan ka mod bada khush-gawar hai hum bhi safar mein umr se thahre nahin hue ek roz khel khel mein hum us ke ho gae aur phir tamam umr kisi ke nahin hue hum aa ke teri bazm mein be-shak hue zalil jitne gunahgar the utne nahin hue is bar jang us se raunat ki thi so hum apni ana ke ho gae us ke nahin hue