fasl-e-bahaar jaane ye kya gul katar gai

fasl-e-bahaar jaane ye kya gul katar gai
saghar gulon ka khun-e-anadil se bhar gai

gulzar-e-hast-e-bud mein aarif ki aagahi
auraq-e-gul pe surat-e-shabnam bikhar gai

hasil huzur-e-husn ki sar-mastiyan kahan
tahzib-e-asr laut ke jaane kidhar gai

danishwaro wo ramz samajhne ki chiz thi
nazar-e-wafa-shiar khata jo bhi kar gai

khush-bakht gharq bahr-e-takalluf mein ho gae
tute hue nasib ki kashti guzar gai

gulshan ke dida-war hi tah-e-dam aa gae
jadu jaga ke khub nasim-e-sahar gai

shaistagi ne khair ka putla bana diya
barq-e-fana bhi husn-e-ada pe thahar gai

almas-o-lal bik gae mutlaq khazaf ke mol
ab aabru-e-hikmat-e-sahab-hunar gai

saqi ko khas masnad-e-gul par jo aai nind
sar-masti-e-sharab-e-gham-e-mo'atabar gai

itni thi ek nafas ke tabassum ke dastan
nazuk kali thi phul bani aur bikhar gai

yun to sukhan ki surat-e-mani thi dil-pazir
khun-e-jigar se aur haqiqat nikhar gai

tai ho sake khirad se na hasti ke marhale
nakaamiyon ki aah meri kaam kar gai

'bebak' be-kasi ke hai juz kaun dast-gir!
mauj-e-nafas hayat ki jaane kidhar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close