fasl-e-KHizan mein sair jo ki humne ja-e-gul

fasl-e-khizan mein sair jo ki hum ne ja-e-gul
chhani chaman ki khak na tha naqsh-e-pa-e-gul

allah re andalib ki aawaz-e-dil-kharash
ji hi nikal gaya jo kaha un ne hae gul

maqdur tak sharab se rakh ankhdiyon mein rang
ye chashmak-e-pyala hai saqi hawa-e-gul

ye dekh sina dagh se rashk-e-chaman hai yan
bulbul sitam hua na jo tu ne bhi khae gul

bulbul hazar ji se kharidar us ki hai
ai gul-farosh kariyo samajh kar baha-e-gul

nikla hai aisi khak se kis sada-ru ki ye
qabil durud bhejne ke hai safa-e-gul

bare sarishk-e-surkh ke daghon se raat ko
bistar par apne sote the hum bhi bichhae gul

aa andalib sulh karen jang ho chuki
le ai zaban-daraaz tu sab kuchh siwae gul

gulchin samajh ke chuniyo ki gulshan mein 'mir' ke
lakht-e-jigar pade hain nahin barg-ha-e-gul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close