fasurda-dil hai nazron ki pareshani nahin jati ki ab taswir meri mujh se pahchani nahin jati tumhaari hi gali mein umr kat jae to behtar hai ki mujh se dar-ba-dar ki khak ab chhani nahin jati ghulami ne tumhaari wo ata ki hai mujhe azmat ki shahi mein bhi dil se khu-e-darbani nahin jati kahin lakhon ka gumbad hai ba-shakl-e-saeban sar par kahin ek chadar-e-bosida jo tani nahin jati payam-e-marg dete hain hazaron hadse phir bhi hamari qaum ki 'sahil' tan-asani nahin jati