fauj ki aakhiri saf ho jaun aur phir us ki taraf ho jaun tir koi ho kaman koi ho chahte hain ki hadaf ho jaun ek zamana hai hawaon ki taraf main charaghon ki taraf ho jaun ashk is aankh mein aae na kabhi aur tapke to sadaf ho jaun ahd-e-nau ka na sahi guzran ka bais-e-iz-o-sharaf ho jaun