faza-e-qurb mein betabi-e-dil badhti jati hai mohabbat ki tadap manzil-ba-manzil badhti jati hai udhar barish musalsal jalwa-ha-e-be-mahaba ki idhar mahdud nazare ki mushkil badhti jati hai pahunchta ja raha hun auj-e-idrak-e-haqiqat tak barabar himmat-e-qata-e-manazil badhti jati hai idhar mere liye chashm-e-talab khub anjuman un ki udhar begangi-e-ahl-e-mahfil badhti jati hai yahi mausam hai barq-o-ashiyan ke chhed ka mausam bahaar aai to kuchh fikr-e-anadil badhti jati hai jalane ko to parwana jo pae sab jala dale magar afsurdagi-e-shama-e-mahfil badhti jati hai talash-e-ju-e-shir aasan jo azm-e-kohkan bhi ho suhulat dhundne walon ki mushkil badhti jati hai bahaar-e-taza aane ko hai phir 'arif' gulistan mein bahar-su naghma-sanji-e-anadil badhti jati hai