faza ki hath mein rakh kar udan ki khushbu badan pe le ki main utra thakan ki khushbu main mal raha hun bahut der se zamin lekin paron se jati nahin aasman ki khushbu udhar ubur kiya pichhli aazmaish ko udhar se aai nae imtihan ki khushbu ujadne wali hai sabze ki saltanat sari zamin ugalne lagi hai makan ki khushbu khudara ghol de 'fani' ko aisa ghazlon mein nadi mein ghulti hai jaise chatan ki khushbu