fikr-o-KHayal mein tumhein lane se faeda

fikr-o-khayal mein tumhein lane se faeda
khud apne ghar mein aag lagane se faeda

baithe bithae ji ko jalane se faeda
tamir-e-zindagi ko mitane se faeda

fariyaad-o-ah nala-o-shewan fuzul hain
shab ki khamoshiyon ko jagane se faeda

pamal ho chuke hain ye andaz-e-ashiqi
yun sar kisi ke dar pe jhukane se faeda

achchha nahin hai ishq mein khuddariyon ka khun
jo khud na aae us ko bulane se faeda

ishq aur khayal-e-tan-e-zamana ghalat ghalat
aakhir batao hum ko zamane se faeda

ashkon mein bah chuki hai nigah-e-jamal jo
ab be-naqab samne aane se faeda

gar jawedan nahin hai mohabbat to ai nadim
ye khwab-e-zar-nigar dikhane se faeda

bahr-e-sukun mein dub gai mauj-e-iztirab
sahil pe gham ka sog manane se faeda

main bewafa hun tum ho wafadar han durust
ai 'raj aur baat badhane se faeda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close