fikr-o-nazar ki jang hai khud sar ke samne ek sabz inqalab hai patthar ke samne dariya ubal pada hai samundar ke samne shisha-garon ki bhid hai zar-gar ke samne jhuta sa ek wada-e-farda bhi hai bahut taskin ke liye dil-e-muztar ke samne koi dalil koi na hujjat na hai jawaz us bad-qimash khu-e-sitamgar ke samne mausam ki dil-farebi ye kahti hai bar bar kam-tar hai un ka husn bhi manzar ke samne duniya kyon apne sar ko jhukati hai aaj-kal kam-maya bad-khisal tawangar ke samne 'bismil' na chhed ahl-e-duwal ki bhi koi baat mujh jaise ek faqir qalandar ke samne