fikr-o-taKHaiyyulat ke par zinda hain abhi

fikr-o-takhaiyyulat ke par zinda hain abhi
budhe zarur hain ye magar zinda hain abhi

sae mein zindagi ko bitane ke waste
rah-e-hayat ke wo shajar zinda hain abhi

us ko laga ki chahne wale nahin mere
lekin use mili ye khabar zinda hain abhi

mayus-o-na-ummid na honge kabhi bhi hum
ummid ke ye shams-o-qamar zinda hain abhi

hum ye samajh rahe hain ke wo mar chuke magar
apne hunar mein ahl-e-hunar zinda hain abhi

apni jagah hai tark-e-talluq ki khud-kushi
jo sath mein kiye the safar zinda hain abhi

apne gham-o-khushi ko chhupaen to kis tarah
'wajid' jahan mein ahl-e-nazar zinda hain abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close