firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha shikast-e-dil ka baqi hum ne ghurbat mein asar rakha likha ahl-e-watan ko khat to ek gosha katar rakkha barabar aaine ke bhi na samjhe qadr wo dil ki ise zer-e-qadam rakkha use pesh-e-nazar rakkha mitae dida-o-dil donon mere ashk-e-khunin ne ajab ye tifl abtar tha na ghar rakkha na dar rakkha tumhaare sang-e-dar ka ek tukda bhi jo hath aaya aziz aisa kiya mar kar use chhati pe dhar rakkha jinan mein sath apne kyun na le jaunga naseh ko suluk aisa hi mere sath hai hazrat ne kar rakkha na ki kis ne sifarish meri waqt-e-qatl qatil se kaman ne hath jode tegh ne qadmon pe sar rakkha ghazab barse wo mere aate hi malum hota hai jagah khali jo pai yar ko ghairon ne bhar rakkha bada ehsan hai mere sar pe us ki laghzish-e-pa ka ki is ne be-tahasha hath mere dosh par rakkha zamin mein dana-e-gandum sadaf mein hum hue gauhar hamare ijz ne har marka mein hum ko dar rakkha tere har naqsh-e-pa ko rahguzar mein sajda-gah samjhe jahan tu ne qadam rakkha wahan main ne bhi sar rakkha amir achchha shagun-e-mai kiya saqi ki furqat mein jo barsa abr-e-rahmat ja-e-mai shishon mein bhar rakkha