firaun koi koi namrud ho gaya hai afsos tukhm-e-insan nabud ho gaya hai zar jab se mere ghar mein maujud ho gaya hai har ghair mera tab se maudud ho gaya hai hota tha pahle insan mein ek insan makhfi insan jo magar ab mardud ho gaya hai sadiyon se un labon ko jumbish nahin di jis ne us se samaj sara khush-nud ho gaya hai nafrat ka wo pujari hai bughz us ka shewa so pyar us ke aage be-sud ho gaya hai us ke sabhi masail madum karte karte mera sukun sara mafqud ho gaya hai jab se gaya tu 'naqir' ko chhod kar yahan se saman yan ka tab se aalud ho gaya hai