firqa-kashi ka koi bhi matlab dikhaiye

firqa-kashi ka koi bhi matlab dikhaiye
ghaarat-garon ka ek hi mazhab dikhaiye

mili haqiqaton pe hai parda pada hua
fikr-o-nazar ka aap hi kaukab dikhaiye

qadren khulus ki hain paraganda kam abhi
rutbe ki dhons dijiye mansab dikhaiye

rah jaen dant pis ke pir-o-jawan tamam
itna na khud ko ghair-mohazzab dikhaiye

tajdid kije ahl-e-tazabzub yaqin ki
kahta hai waqt ab koi kartab dikhaiye

zehni maraz pe talkh dawa kyon hakim ji
shirin hai koi nuskha mujarrab dikhaiye

jiddat-taraaziyon mein nazar aae gham ka rang
itne mawad kar ke murakkab dikhaiye

aashiq-mizaj logon mein kuchh man-chale bhi hain
aankhen dikha ke sab ko na yun lab dikhaiye

putle khata ke waise to hain mustanad sharif
behtar yahi hai husn na be-dhab dikhaiye

munh pherte hain dekh ke munh 'sarfaraaz' wo
kis dil se dil ke dagh unhen ab dikhaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close