furqat ki aafat bure din katna sal hai ye hath hai so kare ye sina ghadiyal hai rota hun sham-o-sahar tukde hai gham se jigar bedard kuchh rahm kar mera bura haal hai bechain kahan dil-e-saman yaqub ka hai maqal jins-e-wafa ka hai kal kanan mein hat-tal hai resham ke lachchhe hain baal makhmal ke tukde hain gal hai ye nazakat ka haal patli kamar baal hai aashiq bache ta-ba ki kali bala hai ye shai kakul ka jo halqa hai muzi ka changal hai kyun aae hum ai pari halchal mein hai zindagi aafat hai tere gale aandhi hai bhaunchaal hai phulon mein rangat na bu sabze ko kuda kaho pa-e-khizan qata ho gulzar paemal hai dil nazar jis ne kiya thukra ke us ne kaha leti hai meri bala dargor kya mal hai har-dam na dekh us ke baal sar par na le ye wabaal ji ko bala mein na dal ai dil ye janjal hai raftar kahiye use dil har qadam par pise puchhe koi kabk se sadqe ajab chaal hai kya kahiye kya gham saha din-raat rota raha dil khun ho kar baha rangin rumal hai ushshaq ka hai ye haal din-raat hai haal-e-qal aah-o-fughan hai khayal-e-sina-zani tal hai saut jafa-kesh hai aashiq jigar-resh hai abru hai ya nish hai bichchhu hai ya khal hai hai kuchh na kuchh to ba-jog nahaq nahin hai ye birog kaisa laga ji ko rog ai 'bahr' kya haal hai