gahri hai shab ki aanch ki zanjir-e-dar kate tarikiyan badhe to sahar ka safar kate kitni shadid hai ye khunuk surkhiyon ki sham sulga hai wo sukut ki tar-e-nazar kate saugand hai ki tark-e-talab ki saza mile ruk jae gar qadam ki masafat to sar kate kyun kusht-e-e'tibar bhi sarsar ki zad mein ho kya intizar-e-khulq se fasl-e-hunar kate yun bhi to ho ki sar ke sabab ho shikast-e-sang ye bhi to ho kabhi ki shajar se tabar kate khil jaen raushni pe mere pattharon ke rang us raat si pahad ka sina magar kate sadiyon safar hai 'shad' mujhe khud mera wajud dil se ghubar rah chhute rahguzar kate