gale lagae mujhe mera raazdan ho jae kisi tarah ye shajar mujh pe mehrban ho jae sitare jhad ke baalon se ab ye kahta hun koi zamin pe rah kar na aasman ho jae isi liye to udasi se guftugu nahin ki kahin wo baat na baaton ke darmiyan ho jae ye zakhm aise nahin hain ki jo dikhaen tumhein ye ranj aisa nahin hai ki jo bayan ho jae bula raha hai koi aasman ki khidki se so aaj khak-nashin tera imtihan ho jae