galiyon galiyon shor macha hai ek fitna bedar hua sabr-o-sukun ke lamhe ghaarat zist se ji bezar hua zulm-o-sitam mear-e-siyasat kizb-o-riya aqdar-e-hayat harf-e-sadaqat kam-zarfon mein kitna zalil-o-khwar hua jin ke labon par harf-e-wafa tha jin ki zaban par sidq-o-safa un ki ek ek tarz-e-ada par ahl-e-khirad ka war hua pahle bhi kab ghar mein sukun tha kis ko faraghat hasil thi lekin ab to lamha lamha khanjar aur talwar hua hum bhi madh-sarai karte hum bhi qasida-go hote shukr hai khwahish-e-jah mein hail shair ka pindar hua tark-e-talluq karne par main kya kya qahr se guzra hun 'wasil' zist ka lamha lamha khud mujh se bezar hua