gar dosto tum ne use dekha nahin hota kahne ka tumhaare mujhe shikwa nahin hota gar kahiye ki ji milne ko tera nahin hota kahta hai ki han han nahin hota nahin hota qasid ke bhi gar aane ki ummid na hoti ek dam bhi to jine ka bharosa nahin hota yunhi sahi hum hijr mein mar jate bala se bas aur to kuchh is se ziyaada nahin hota kyun kahte ho tum mujh se ki aana nahin manzur ye kis liye kahte ho ki aana nahin hota go ghair burai se karen zikr hamara itna bhi to wan zikr hamara nahin hota lab tak bhi kabhi harf-e-tamanna nahin aaya aisa koi mahrum-e-tamanna nahin hota bimari-e-hijran se to marna hi bhala tha achchha jo main hota to kuchh achchha nahin hota gar ghair se kuchh tum ko mohabbat nahin hoti to hum ko ye rashk-e-qalaq-afza nahin hota ye sach hai ki tum aaoge par dil ko karun kya kahne ka yaqin aap ke asla nahin hota hota hai wo sab kuchh jo suna ho kabhi tum ne ek tere na hone se yahan kya nahin hota ab samjhe ki yun hum ko bulate na kabhi tum gar aap ki mahfil ka ye naqsha nahin hota go jhut ho dhoka ho tasalli to hai dil ko hota hai qalaq aur jo wada nahin hota maqbul tamanna to 'nizam' apni kahan ho maqbul wahan uzr-e-tamanna nahin hota