gar junun kar mujhe paband-e-salasil jata panw rakhne ka thikana to kahin mil jata mar bhi jata to na mera maraz-e-sil jata gham-e-asnam ki chhati pe dhare sil jata khatt-e-ariz jo tarashne se mite hai ye muhaal chhilne se nahin qismat ka likha chhil jata chhutta id ke din bhi na giraftaron ko surat-e-tauq-e-gulu-gir gale mil jata jab chamakti hai teri tegh tabassum ai gul dahan-e-zakhm hai ghunche ki tarah khil jata dil mein hota na mere dakhl bala-e-kakul saya rahta na kabhi girya makan kil jata rasha-andam hun ye khauf-e-khuda se ai 'shad' koi mujrim ho kaleja hai mera hil jata