gar kuchh ho dard aaina yun charkh-e-zisht mein in suraton ko sirf kare khak-o-khisht mein rakhta hai soz-e-ishq se dozakh mein roz-o-shab le jaega ye sokhta-dil kya bahisht mein aasuda kyunke hun main ki manind-e-gard-baad aawargi tamam hai meri sarisht mein kab tak kharab sai-e-tawaf-e-haram rahun dil ko utha ke baith rahunga kunisht mein matam ke hun zamin pe khirman to kya ajab hota hai nil charkh ki us sabz kisht mein sarmast hum hain aankhon ke dekhe se yar ki kab ye nasha hai dukhtar-e-raz tujh palisht mein rindon ke tain hamesha malamat kare hai tu aajaiyo na shaikh kahin hasht-bahisht mein name ko chaak kar ke kare nama-bar ko qatl kya ye likha tha 'mir' mari sar-nawisht mein