gar mante ho usko KHuda mutmain raho

gar mante ho us ko khuda mutmain raho
jo bhi mila hai jitna mila mutmain raho

jab lashkar-e-umid ko khauf-e-shikast tha
tab aasman se aai sada mutmain raho

aurat ne jab bhi baat ki apne huquq ki
duniya ne sath mil ke kaha mutmain raho

sagar hai sirf dariya ki mauzun ke dam se hi
ab ye bharam bhi tut gaya mutmain raho

tum ped se phalon ki tawaqqoa hi mat rakho
gar mil rahi hai is se hawa mutmain raho

hum hijr mein ye kahte rahe dil se bar bar
wo hai faqat zara sa khafa mutmain raho

chaaragari ki jab bhi ki zakhmon ne iltija
hans kar faqir ne ye kaha mutmain raho

sare bayan-e-ishq mein mere khilaf hain
tum ko nahin milegi saza mutmain raho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close