gar mere but-e-hosh-ruba ko nahin dekha

gar mere but-e-hosh-ruba ko nahin dekha
us dekhne wale ne khuda ko nahin dekha

rahbar se gharaz kya hai jo manzil nazar aae
kabe mein kahe qibla-numa ko nahin dekha

jis shakl se hanste hain mere haal pe ahbab
rote hue yun ahl-e-aza ko nahin dekha

itna to bata de mujhe ai naseh-e-mushfiq
dekha hai ki us mah-laqa ko nahin dekha

jab 'dagh' ko dhundha kisi but-khane mein paya
ghar mein kabhi us mard-e-khuda ko nahin dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close