gar us se rabt mera sirf iKHtilafi tha

gar us se rabt mera sirf ikhtilafi tha
to us ka radd-e-amal qabil-e-muafi tha

mohabbaton mein mafadat kaun yaad rakhe
so hum ko apne liye ek nam kafi tha

charagh jab bhi jalaya koi to gul na kiya
ye raushni ki riwayat ke munafi tha

use khayal tha meri shikasta-pai ka
ye jaanna bhi to us zakhm ki talafi tha

'humaira' umr guzari to e'tibar aaya
ki is makan ka saman sab izafi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close