garche ai dil aashiq-e-shaida hai tu lekin apne kaam mein yakta hai tu aashiq o mashuq karta hai juda ai falak ye kaam bhi karta hai tu lakh parde gar hon tere husn par koi pardon mein chhupa rahta hai tu haal-e-dil kahne lagun hun main to shokh mujh se yun kahta hai kya bakta hai tu pas baitha us ke main roya kiya yun na puchha mujh se kyun rota hai tu raat din tu hai meri aaghosh mein main tera sahil mera dariya hai tu bazm mein us tund-khu ki daud daud kaam kya? kyun? kis liye jata hai tu wan nahin mutlaq tera mazkur bhi 'mushafi' kis baat par bhula hai tu