garche mere khulus se wo be-khabar na tha phir bhi meri wafaon ka us par asar na tha main us fareb-e-husn se khud ba-khabar na tha wo tha to mere sath ba-zahir magar na tha apna use bana na saka main tamam umr mujh mein bahut hunar the magar ye hunar na tha lab the khamosh khauf se izhaar-e-ishq ke par aansuon ko mere kisi ka bhi dar na tha sare jahan ki khak ko hum chhanne ke baad laute to dekha apna ghar ab apna ghar na tha bimar-e-gham ke waste kya maut ke siwa koi ilaj dahr mein ai chaara-gar na tha kya mai-kade ka nazm bhi tabdil ho gaya saqi jo daur-e-jam idhar tha udhar na tha hoti bhi fath kaise meri jab the sath sath wo log jin ke shane pe khud apna sar na tha kyun us ne ki na zahmat-e-chaara-gari qubul kya us ke pas chaara-e-zakhm-e-jigar na tha coffee tha mujh ko rah-e-wafa mein khayal-e-yar 'tabish' bala se koi mera ham-safar na tha