gard hai zar hai sim hai zarra shakl mein farq-e-mim hai zarra yun to reza hai juz hai shama hai kul mein lekin jasim hai zarra mehr ki raushni mein rauzan se dekho kitna azim hai zarra kahin ye shams hai kahin ye qamar jis jagah hai azim hai zarra munqasim hone se hai jo mazur ye wo durr-e-yatim hai zarra puchhiye hurriyat-pasandon se subh-e-nau ki nasim hai zarra nukta-e-hikmat-o-tadabbur hai jis jagah bhi muqim hai zarra munqasim kaise hoen harf bhi qata 'hilm' lafz-e-qadim hai zarra