gard jam jae to shisha nahin dekha jata yani taswir ko dhundla nahin dekha jata tishnagi aa tujhe dariya ke hawale kar dun tujh ko is haal mein pyasa nahin dekha jata tum mera nam-o-nasab puchh rahe ho sab se ishq ho jae to shajara nahin dekha jata laut aane ki tasalli teri jhuti hi sahi ab to mud-mud ke yun rasta nahin dekha jata sher achchhe jo bure lagte hain duniya ko mere ho ghazal mein tera charcha nahin dekha jata log milte hain bichhadte hain magar kyon mujh se yun tera chhod ke jaana nahin dekha jata izz-o-tauqir ka ye haal hasad mein hum se qad kisi ka bhi ho uncha nahin dekha jata