gard padne pe bhi sarshaar hua karta tha ek raste se mujhe pyar hua karta tha un dinon wo bhi samajhta tha haqiqat mujh ko un dinon main bhi adakar hua karta tha un dinon gham bhi ziyaada nahin hote the mujhe mera kamra bhi hawa-dar hua karta tha main ki izhaar pe sharminda nahin tha jab tak ashk chehre pe numudar hua karta tha tu mila hai to khula mujh pe ajab raaz ki tu bas mujhe hijr mein darkar hua karta tha rasta ab jo mere panw pada rahta hai ye kabhi rah ki diwar hua karta tha shahr ka shahr hi zalim ka madad-gar tha aur shahr ka shahr azadar hua karta tha jis kahani ke tasawwur se dahal jate hain log us ka main markazi kirdar hua karta tha