gardish jise matlub hai gulzar mein aawe

gardish jise matlub hai gulzar mein aawe
hai ishq jise wadi-e-pur-khar mein aawe

ek roz kabhi shakl-e-kharidar mein aawe
dekhe to zara kucha-o-bazar mein aawe

jate hue jawe hai azizon ko rula kar
maulud jo rota hua sansar mein aawe

hun samne main us ke wo mare ki jalawe
manzur hai jo bhi nigah-e-yar mein aawe

badnam agar hoga to kya nam na hoga
hai shauq use surkhi-e-akhbar mein aawe

dawat ka agar shauq hai jawe wo kahin aur
karne ko siyasat na wo iftar mein aawe

aaine mein shakl us ki dikha dega wo us ko
'barqi' ke agar lutf use ashaar mein aawe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close