gardish mein zahr bhi hai musalsal lahu ke sath marta bhi ja raha hun main apni numu ke sath jin mausamon mein teri rifaqat thi na-guzir tu ne ruten banai hain wo bhi adu ke sath mujh ko ata hua hai ye kaisa libas-e-zist badhte hain jis ke chaak barabar rafu ke sath mujh ko wahi mila mujhe jis ki talab na thi mashrut kuchh nahin hai yahan aarzu ke sath ab jam-e-jam se log yahan mutmain nahin 'jazib' guzar rahi hai shikasta subu ke sath