gareban-e-qaba-e-zist mein ek tar baqi hai ajal dam le abhi to manzil-e-dushwar baqi hai zara ai dil mohabbat ka tarana tez-tar kar de abhi kuchh imtiyaz-e-kafir-o-din-dar baqi hai sitamgari ko tanha kyun shiar-e-asman samjhun abhi sharh-e-mizaj-e-charkh-e-kaj-raftar baqi hai bala-nosh is kharabaat-e-jahan se kis qadar guzre lab-e-saghar pe zikr-e-rind-e-khush-atwar baqi hai rahe garm-e-tawaf-e-dair-o-kaba muddaton lekin tamanna-e-tawaf-e-astan-e-yar baqi hai