gareban phad dale rashk se har gul-badan apna nikalun khak se jun lala gar khunin-kafan apna lagega hath patthar is tarah ki sai-e-nahaq se parae dilbaron par sar na chir ai kohkan apna diya bar-baad raaz-e-ishq is chaak-e-gareban se na rakkha bu-e-gul ki tarah main ne hath man apna hamara ji nikal jata hai jab ye naujawan hum ko dikhate hain bhawen tyori chadha kar bankpan apna 'yaqin' us ke dur-e-dandan ki baaten jo kiya chahe sadaf ki tarah dhoe aab-e-gauhar se dahan apna